اردو हिंदी
Idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae | Shaahi Shayari
idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae

Ghazal

Idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae

Akhlaque Bandvi

;

idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae
jidhar jidhar uThi teri nazar charagh jal gae

ye aur baat raat bhar ka tai na kar sake safar
magar ye kam nahin ki waqt par charagh jal gae

hawa ka aisa zor tha ki ek bala ka shor tha
isi faza mein jo the ba-hunar charagh jal gae

hai baat yun to raat ki magar na ehtiyat ki
to kya karoge dafatan agar charagh jal gae

jo sath subh se chale wo sare log din Dhale
usi taraf ko ho liye jidhar charagh jal gae

wo tirgi ka jal tha ki ab safar muhaal tha
hua ye tere nam ka asar charagh jal gae