ibtida thi na intiha kuchh der
darmiyan thi magar sada kuchh der
wo mere sath sath chalta tha
main jise puchhta raha kuchh der
us ka dhyan us ki yaad jaise gulab
naz-parwarda-e-saba kuchh der
ajnabi shakl par paDi thi nazar
aai hai bu-e-ashna kuchh der
aur kya thi haqiqat-e-duniya
hath par hath tha dhara kuchh der
guhar-e-KHasta aab-dar hua
KHak-o-KHun mein paDa raha kuchh der
asl kirdar dast-e-gul-chin hai
baad-e-sarsar thi shola-za kuchh der
Ghazal
Ibtida thi na intiha kuchh der
Syed Amin Ashraf