ibtida se main intiha ka hun
main hun maghrur aur bala ka hun
tu bhi hai ek charagh-e-mohlat-e-shab
main bhi jhonka kisi hawa ka hun
phenk mujh par kamand-e-naz apni
aaj main ham-safar saba ka hun
jis mein malbus chand rahta hai
main bhi takma usi qaba ka hun
mujh ko apna samajh rahi hai tu
main kisi aur bewafa ka hun
is mein meri KHata nahin koi
murtakib bas isi KHata ka hun
zindagi main abhi salamat hun
main asar teri bad-dua ka hun
mujh pe rakhta hai tohmat-e-ilhad
main bhi banda isi KHuda ka hun
ujDe KHemon ka sogwar hun main
main azadar karbala ka hun
mujh ko 'shahid'-kamal kahte hain
main bhi shair hun aur bala ka hun
Ghazal
Ibtida se main intiha ka hun
Shahid Kamal