اردو हिंदी
Ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue | Shaahi Shayari
ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue

Ghazal

Ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue

Meer Anees

;

ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue
uD gaya jab rang ruKH se ustuKHan paida hue

KHaksari ne dikhain rifaton par rifaten
is zamin se wah kya kya aasman paida hue

ilm KHaliq ka KHazana hai miyan-e-kaf-o-nun
ek kun kahne se ye kaun-o-makan paida hue

zabt dekho sab ki sun li aur kuchh apni kahi
is zaban-dani par aise be-zaban paida hue

shor-baKHti aai hisse mein unhin ke wa nasib
talKH-kaami ke liye shirin-zaban paida hue

ehtiyat-e-jism kya anjam ko socho 'anis'
KHak hone ko ye musht-e-ustuKHwan paida hue