ibtida sa kuchh intiha sa kuchh
chal tamasha karen zara sa kuchh
samne se ye kaenat haTao
ho raha hai mughaalta sa kuchh
sar-ba-sar hun salamti ke sar
main hun raftar-o-hadisa sa kuchh
ek KHatra hai aane jaane mein
is sara mein hai dusra sa kuchh
chaak udhaDta hai KHak ukhaDti hai
koi hota hai runuma sa kuchh
aur to kuchh nahin hai miTne ko
main hi main hun bana bana sa kuchh
ye sarakte hue zamin pe log
ye gunah sa kuchh aur gila sa kuchh
waqt par aag waqt par pani
zindagi bhar ka tajraba sa kuchh
jo na tera hai aur na mera hai
phir wo kya hai tera mera sa kuchh
jab KHuda sa koi nahin to kyun
masala ban gaya KHuda sa kuchh
Ghazal
Ibtida sa kuchh intiha sa kuchh
Shaheen Abbas