ibtida mujh mein intiha mujh mein
ek mukammal hai waqia mujh mein
bhul baiTha main paikar-e-KHaki
jab se rahta hai ek KHuda mujh mein
main ne miTTi se KHud ko bandh liya
jab bhari waqt ne hawa mujh mein
mere chaaron taraf hai sannaTa
aisi gunji hai ek sada mujh mein
main ne ashkon pe band kya bandha
ek sailab aa gaya mujh mein
meri tanhaiyon mein aane laga
DhunD kar rasta naya mujh mein
main ne us ki kabhi nahin mani
jo sada bolta raha mujh mein
Thahr jata hai har parinda yahan
ek jangal hai yun basa mujh mein
tu bhi sulgega is mein sari hayat
soch kar aag ye laga mujh mein
us ka ham-zad sath rakkha 'said'
jab koi shaKHs bhi mara mujh mein
Ghazal
Ibtida mujh mein intiha mujh mein
Saeed Naqvi