ibn-e-adam barsar paikar hai
garm zulm-o-jaur ka bazar hai
dandanate phir rahe hain shar-pasand
kaun aaKHir is ka zimmedar hai
bo raha hai bughz wa nafrat ke wo bij
jis ki apni zehniyat bimar hai
hai aziz apna use shaKHsi mafad
maslahat-bin aaj ka fankar hai
KHun-e-insan ki tijarat ke liye
jis ko apna faeda darkar hai
karta hai barham nizam zindagi
sirf mal-o-zar se us ko pyar hai
dekh kar chaliye zara dam-e-fareb
wo shikari darpai-e-azar hai
rakhiye gird-o-pesh par apne nazar
gul ke pahlu mein wo dekhen KHar hai
jis ki nazron mein barabar hon sabhi
mulk-o-millat ka wahi meamar hai
haq ne di hai aap ko wo aql-e-kul
jo mohabbat ki alam-bardar hai
aao mil-jul kar use hum tai karen
zindagi ka jo safar dushwar hai
bhai chaare ki faza qaem karen
aap ka 'barqi' yahi gham-KHwar hai
Ghazal
Ibn-e-adam barsar paikar hai
Ahmad Ali Barqi Azmi