iblis bhi rakh lete hain jab nam farishte
main kyun na kahun mujh se bhi hain KHam farishte
wo nur hain main KHak hun lekin mere bais
lete nahin ek lamha bhi aaram farishte
tanhai mein aa jati hain huren mere ghar mein
chamkate hain masjid ke dar-o-baam farishte
ek main hi to hun raat-gae jagne wala
so jate hain behosh sar-e-sham farishte
jannat se nikala hua insan wahi hai
shaitan bane baiThe hain nakaam farishte
hun itna gunahgar ki allah ke aage
lete hue Darte hain mera nam farishte
duniya hui aabaad to mere hi sabab se
anjam na de pae koi kaam farishte
kya soch ke insan se sharmae hue hain
dete nahin didar sar-e-am farishte
main ek gunahgar nasihat ka hadaf hun
duniya mein bhi milte hain bahar-gam farishte
ye duKHtar-e-raz dana-e-gandum to nahin hai
chakkhen to sahi baada-e-gulfam farishte
yun ghaib se main DhunD ke laya hun mazamin
jaise koi le aae tah-e-dam farishte
jo baat mere dil mein thi aai hai zaban par
ab karte phirenge mujhe badnam farishte
'shahzad' zamana hua lekin meri jaanib
late nahin allah ka paigham farishte
Ghazal
Iblis bhi rakh lete hain jab nam farishte
Shahzad Ahmad