اردو हिंदी
Iblagh ke badan mein tajassus ka silsila | Shaahi Shayari
iblagh ke badan mein tajassus ka silsila

Ghazal

Iblagh ke badan mein tajassus ka silsila

Adil Mansuri

;

iblagh ke badan mein tajassus ka silsila
TuTa hai chashm-e-KHwab mein hairat ka aaina

jo aasman ban ke musallat saron pe tha
kis ne use zamin ke andar dhansa diya

bikhri hain pili ret pe suraj ki haDDiyan
zarron ke intizar mein lamhon ka jhumna

ehram TuTte hain kahan sang-e-waqt ke
sahra ki tishnagi mein abul-haul hans paDa

ungli se us ke jism pe likkha usi ka nam
phir batti band kar ke use DhunDta raha

shiryanen khinch ke TuT na jaen tanaw se
miTTi pe khul na jae ye darwaza KHun ka

maujen thin shoalagi ke samundar mein tund-o-tez
main raat bhar ubharta raha Dubta raha

alfaz ki ragon se maani nichoD le
fasid mawad kaghzi ghoDe pe Dal aa