huzur-e-yar mein harf iltija ke rakkhe the
charagh samne jaise hawa ke rakkhe the
bas ek ashk-e-nadamat ne saf kar Dale
wo sab hisab jo hum ne uTha ke rakkhe the
sumum-e-waqt ne lahje ko zaKHm zaKHm kiya
wagarna hum ne qarine saba ke rakkhe the
bikhar rahe the so hum ne uTha liye KHud hi
gulab jo teri KHatir saja ke rakkhe the
hawa ke pahle hi jhonke se haar man gae
wahi charagh jo hum ne bacha ke rakkhe the
tum hi ne panw na rakkha wagarna wasl ki shab
zamin pe hum ne sitare bichha ke rakkhe the
miTa saki na unhen roz o shab ki barish bhi
dilon pe naqsh jo rang-e-hina ke rakkhe the
husul-e-manzil-e-duniya kuchh aisa kaam na tha
magar jo rah mein patthar ana ke rakkhe the
Ghazal
Huzur-e-yar mein harf iltija ke rakkhe the
Amjad Islam Amjad