huzur-e-yar bhi aazurdagi nahin jati
ki hum se itni bhi duri sahi nahin jati
KHud apne sar ye bala kaun mol leta hai
mohabbat aap se hoti hai ki nahin jati
lahu jalati hai KHamoshiyon mein palti hai
hikayat-e-dil-e-sozan kahi nahin jati
hum is ko kya karen tum ko hai na-pasand magar
zaban-e-haal se barjastagi nahin jati
mila de KHak mein hum ko hazar gardish-e-charKH
magar bagulon se aawargi nahin jati
chaman wo ho ki bayaban bahaar ho ki KHizan
junun ki fitrat-e-jama-wari nahin jati
agar ghubar ho dil mein agar ho tang-nazar
to mehr o mah se bhi tirgi nahin jati
mahakti rahti hai ghurbat mein bhi sharafat-e-nafs
gul-e-fasurda se KHushbu kabhi nahin jati
charagh din mein dhuan hi dhuan sa lagta hai
sharab raat ki shai din ko pi nahin jati
agar yaqin nahin hai najabat-e-mai par
to lakh pite raho tishnagi nahin jati
shuur-e-husn muzmir hijab mein 'wamiq'
barhana chehron se be-chehragi nahin jati
Ghazal
Huzur-e-yar bhi aazurdagi nahin jati
Wamiq Jaunpuri