huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain
kuchh iKHtilaf ke pahlu nikal hi aate hain
mizaj ek nazar ek dil bhi ek sahi
muamalat-e-man-o-tu nikal hi aate hain
hazar ham-suKHni ho hazar ham-nazari
maqam-e-jumbish-e-abru nikal hi aate hain
hina-e-naKHun-e-pa ho ki halqa-e-sar-e-zulf
chhupao bhi to ye jadu nikal hi aate hain
janab-e-shaiKH wazu ke liye sahi lekin
kisi bahane lab-e-ju nikal hi aate hain
mata-e-ishq wo aansu jo dil mein Dub gae
zamin ka rizq jo aansu nikal hi aate hain
Ghazal
Huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain
Mohammad Deen Taseer