اردو हिंदी
Hur-o-ghilman ke talabgar se waqif main hun | Shaahi Shayari
hur-o-ghilman ke talabgar se waqif main hun

Ghazal

Hur-o-ghilman ke talabgar se waqif main hun

Anjum Azimabadi

;

hur-o-ghilman ke talabgar se waqif main hun
sahab-e-jubba-o-dastar se waqif main hun

shahr mein aap farishton se bhi baDh kar Thahre
han magar aap ke kirdar se waqif main hun

haq-nawai ka samajhta hun ise main inam
qaid-o-zindan rasan-o-dar se waqif main hun

wo hai majbur talab se bhi siwa dene par
KHubi-e-jurat-e-izhaar se waqif main hun

munsifi chumti rahti hai dar-e-ahl-e-dil
ai adalat tere kirdar se waqif main hun

sar salamat hai to rauzan bhi bana lunga main
habs tere dar-o-diwar se waqif main hun

kibr-o-naKHwat ka hai ilzam abas 'anjum' par
us ke iKHlas se afkar se waqif main hun