hun shamil sab mein aur sab se juda hun
main KHud ye sochta rahta hun kya hun
hisar-e-zat se bahar nikal kar
main har surat mein tujh ko DhunDhta hun
wo mujh se dur bhi hai pas bhi hai
kabhi main apne dil mein dekhta hun
main KHud kuchh bhi nahin hun ye bhi sach hai
nawa wo hai magar main ham-nawa hun
kabhi main apne aalam mein nahin hun
kabhi raazi kabhi KHud se KHafa hun
mujhe kab tak is aalam mein rakhega
teri kya maslahat hai sochta hun
tamasha-gah-e-hasti ki na puchho
main KHud hi ibtida KHud intiha hun
mujhe jalwat mein kya kya dekhna hai
abhi KHalwat mein masruf-e-dua hun
'raza' ek banda-e-ajiz hun main to
wahi likhta hun jo kuchh dekhta hun

Ghazal
Hun shamil sab mein aur sab se juda hun
Raza Amrohvi