hun parsa tere pahlu mein shab guzar ke bhi
main be-libas nahin pairahan utar ke bhi
har ek sar ko bulandi ata nahin karte
usul hote hain kuchh to salib-o-dar ke bhi
hamare aks bhi dhundhle hue to hum samjhe
ki aainon se hain rishte yahan ghubar ke bhi
na aablon se hai raghbat na panw se ranjish
ajab suluk hain maidan-e-KHarzar ke bhi
wo be-yaqin bharosa na kar saka warna
the mere sath kai log e'tibar ke bhi
faqat tumhin ko nahin apni sadgi pe ghurur
dimagh arsh pe rahte hain KHaksar ke bhi
main jis ke panw ki aahaT ka muntazir tha 'salim'
wo ja chuka mujhe dahliz se pukar ke bhi
Ghazal
Hun parsa tere pahlu mein shab guzar ke bhi
Saleem Siddiqui