اردو हिंदी
Hun main parwana magar shama to ho raat to ho | Shaahi Shayari
hun main parwana magar shama to ho raat to ho

Ghazal

Hun main parwana magar shama to ho raat to ho

Akbar Allahabadi

;

hun main parwana magar shama to ho raat to ho
jaan dene ko hun maujud koi baat to ho

dil bhi hazir sar-e-taslim bhi KHam ko maujud
koi markaz ho koi qibla-e-hajat to ho

dil to bechain hai izhaar-e-iradat ke liye
kisi jaanib se kuchh izhaar-e-karamat to ho

dil-kusha baada-e-safi ka kise zauq nahin
baatin-afroz koi pir-e-KHarabaat to ho

guftani hai dil-e-pur-dard ka qissa lekin
kis se kahiye koi mustafsir-e-haalat to ho

dastan-e-gham-e-dil kaun kahe kaun sune
bazm mein mauqa-e-izhaar-e-KHayalat to ho

wade bhi yaad dilate hain gile bhi hain bahut
wo dikhai bhi to den un se mulaqat to ho

koi waiz nahin fitrat se balaghat mein siwa
magar insan mein kuchh fahm-e-ishaaraat to ho