hun main bhi wahi mera muqabil bhi wahi hai
patthar bhi wahi aaina-e-dil bhi wahi hai
majbur hun main aab-o-hawa hai meri muKHtar
jo lala-o-gul ki hai meri gul bhi wahi hai
jaise wo kisi aaina-KHana mein makin ho
paikar bhi wahi aks wahi zil bhi wahi hai
ye KHwab ka aalam hai ki lamhat hain sakit
main ab bhi wahin baiTha hun mahfil bhi wahi hai
kis fikr mein ho ghar ki taraf lauT bhi jao
jo nuqta-e-aghaz hai manzil bhi wahi hai
jis ne mujhe parwaz ye aamada kiya tha
kya kije ki ab rah mein hail bhi wahi hai
'shahid' hain abhi kohar ke baadal jo kabhi the
aur barf ki sine pe abhi sil bhi wahi hai
Ghazal
Hun main bhi wahi mera muqabil bhi wahi hai
Saleem Shahid