hun kis maqam pe dil mein tere KHabar na lage
tere saliqa-e-guftar ko nazar na lage
ghira hua tha tu kuchh nagawar logon mein
malal ye hai ki us waqt hum ko par na lage
asir-e-qarya-e-wahshat hun ek muddat se
KHirad ki rah kisi taur mo'tabar na lage
makan wahi hai par us ka makin kya uTTha
sahar bhi ho to wo pahli si ab sahar na lage
akeli sham khaDi thi udas jangal mein
tuyur ba-KHabar o aashna-shajar na lage
saza-e-jazba o ehsas-e-jaan ke sath rahi
wo rog rog hi kya hai jo umr bhar na lage
baja hai KHwab-nawardi pa KHwab aaise hon
khule jo aankh to apna hi ghar khanDar na lage
jo ba-kamalon ki tauqir kam kare 'shahid'
hamare hath koi aisa bhi hunar na lage
Ghazal
Hun kis maqam pe dil mein tere KHabar na lage
Siddiq Shahid