اردو हिंदी
Hun kalbud-e-KHak mein mehman koi din aur | Shaahi Shayari
hun kalbud-e-KHak mein mehman koi din aur

Ghazal

Hun kalbud-e-KHak mein mehman koi din aur

Nihal Sevharvi

;

hun kalbud-e-KHak mein mehman koi din aur
qismat mein hai pabandi-e-zindan koi din aur

hai daftar-e-alam ko zarurat abhi meri
karni hai mujhe KHidmat-e-unwan koi din aur

aane hi ko hai mausam-e-gul KHair mana le
daman koi din aur gareban koi din aur

ai abr yunhi qatra-e-fashan rah abhi kuchh roz
mai-KHwaron pe hota rahe ehsan koi din aur

aamada-e-ruKHsat hai mera ahd-e-jawani
KHatir ka lahu chus le arman koi din aur

kuchh roz Thahar aur bhi ai shama-e-shab-afroz
pur-nur rahe mera shabistan koi din aur

kyun ru-kash-e-alam hai nihaal-e-jigar-afgar
rahna tha nawa-sanj-e-ghazal-KHwan koi din aur