hun be-suragh rah napta hun
is tarf us tarf ko bhagta hun
wo kab ka makan kar gaya hai KHali
ek lag hai dar ko takta hun
tha qurb hi qurb hasil ek din
ab KHwab mein us ke jagta hun
pamba-ba-gosh ho jaen samea
main shor ki had phalangta hun
nazuk hai bahut ye kar-e-naghma
us pe sada ke sang marta hun
Ghazal
Hun be-suragh rah napta hun
Adeeb Suhail