husul-e-rizq ke arman nikalte guzri
hayat ret se sikke hi Dhaalte guzri
musafirat ki saubat mein umr bit gai
bachi to panw se kanTe nikalte guzri
hawa ne jashn manae wo intizar ki raat
charagh-e-hujra-e-furqat sambhaalte guzri
wo tez lahar to hathon se le gai kashti
phir us ke baad samundar khangalte guzri
rasai jis ki na thi be-karan samundar tak
wo mauj-e-nahr bhi chhinTe uchhaalte guzri
yahi nahin ki sitare the dastaras se baid
zara zara se tamanna bhi Talte guzri
tamam umr 'tasawwur' rida-e-baKHt-e-siyah
mashaqqaton ke lahu se ujalte guzri
Ghazal
Husul-e-rizq ke arman nikalte guzri
Yaqoob Tasawwur