اردو हिंदी
Husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya | Shaahi Shayari
husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya

Ghazal

Husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya

Bakhsh Layalpuri

;

husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya
wo raushni thi ki kuchh bhi nazar nahin aaya

bhaTak rahe hain abhi zist ke sarabon mein
musafiron ko shuur-e-safar nahin aaya

tamam raat sitara-shanas rote rahe
nazar ganwa di sitara nazar nahin aaya

hazar minnaten kin waste KHuda ke diye
pe rah-e-rast pe wo rahbar nahin aaya

zaban-e-sher pe mohr-e-sukut hai ab tak
jalal-e-saut-o-suKHan rang par nahin aaya

wo tak rahe hain azal se faraaz-e-gardun par
nazar kisi ko bhi najm-e-sahar nahin aaya

hamare shahr ke har sang-baz se ye kaho
hamari shaKH-e-shajar par samar nahin aaya

har ek moD pe hum ne bahut sadaen din
safar tamam hua ham-safar nahin aaya

dayar-e-ghair mein mera wo sar-phira beTa
gaya hai ghar se to phir lauT kar nahin aaya