husn us shoKH ka aha-haha
jin ne dekha kaha aha-haha
zulf Dale hai gardan-e-dil mein
dam kya kya baDha aha-haha
tegh-e-abru bhi karti hai dil par
war kya kya naya aha-haha
aan par aan wo aji o ho
aur ada par ada aha-haha
naz se jo na ho wo karti hai
chupke chupke haya aha-haha
tair-e-dil pe us ka baz-e-nigah
jis ghaDi aa paDa aha-haha
us ki phurti aur us ki lap-chhap ka
kya tamasha hua aha-haha
bazm-e-KHuban mein jab gaya wo shoKH
apni saj-dhaj bana aha-haha
ki o ho-ho kisi ne dekh 'nazir'
koi kahne laga aha-haha
Ghazal
Husn us shoKH ka aha-haha
Nazeer Akbarabadi