husn se sharh hui ishq ke afsane ki
shama lau de ke zaban ban gai parwane ki
shan basti se nahin kam mere virane ki
ruh har bonDle mein hai kisi diwane ki
aamad-e-mausam-e-gul ki hai KHabar daur-e-digar
tazgi chahiye kuchh saKHt mein paimane ki
aai hai kaT ke miad-e-asiri ki bahaar
hatkaDi khul ke giri jati hai diwane ki
sard ai shama na ho garmi-e-bazar-e-jamal
phunk de ruh nai lash mein parwane ki
uTh khaDa ho to bagula hai jo baiThe to ghubar
KHak ho kar bhi wahi shan hai diwane ki
'arzu' KHatm haqiqat pe hua daur-e-majaz
Dali kabe ki bina aaD se but-KHane ki
Ghazal
Husn se sharh hui ishq ke afsane ki
Arzoo Lakhnavi