husn par bojh hue us ke hi wade ab to
tark kar ai gham-e-dil apne irade ab to
is qadar aam hui shahr mein KHun-pairahni
nazar aate nahin be-dagh libaade ab to
tu Thaharta nahin mere liye phir zid kaisi
qaid is ham-safari ki bhi uTha de ab to
peD ne sae ke harfon mein likha tha jis ko
Dubte chand wo tahrir miTa de ab to
soKHta lamhe tujhe bar-e-safar hi honge
rakh bhi apne talluq ki uDa de ab to
ishtihaar apna liye phirta hun qarya qarya
kya hai qimat meri ye koi bata de ab to
KHud ko pahunchai hai kya kya na aziyyat main ne
koi 'shahin' mujhe is ki saza de ab to
Ghazal
Husn par bojh hue uske hi wade ab to
Wali Alam Shaheen