husn paband-e-hina ho jaise
ye wafaon ka sila ho jaise
yun wo karte hain kinara mujh se
is mein mera hi bhala ho jaise
tana dete hain mujhe jine ka
zindagi meri KHata ho jaise
is tarah aankh se Tapka hai lahu
shaKH se phul gira ho jaise
sar-e-kohsar wo baadal garja
dil dhaDakne ki sada ho jaise
haal-e-dil puchhte ho yun mujh se
tum mere dil se juda ho jaise
yaad yun aai teri ruk ruk kar
koi zanjir-ba-pa ho jaise
ab jafa ko bhi taraste hain 'raza'
yahi tasir-e-dua ho jaise
Ghazal
Husn paband-e-hina ho jaise
Raza Hamdani