husn o ulfat mein KHuda ne rabt paida kar diya
dard-e-dil mujh ko diya tum ko masiha kar diya
KHub ki taqsim tu ne ai KHayal-e-zulf-e-yar
dil ko nazr-e-dagh sar ko waqf-e-sauda kar diya
jaan le lena jalana khel hai mashuq ka
aankh se mara lab-e-nazuk se zinda kar diya
mujh ko shikwa hai ki dil ka KHun qatil ne kiya
dil ye kahta hai mujhe qatre se dariya kar diya
naz ho ya dilbari afsun ho ya jadugari
sab ko qudarat ne teri chitwan ka hissa kar diya
dil idhar ruKHsat hua hosh us taraf chalte hue
kis ki aankhon ne ye dar-parda ishaara kar diya
main kahan chahat kahan ye sab karishme dil ke hain
tum pe KHud shaida hua mujh ko bhi shaida kar diya
marhaba ai saqi-e-jadu-nazar sad-marhaba
mast aankhon ne mera nashsha do-baala kar diya
dil taDapta hai to kuchh taskin hoti hai 'jalil'
ji bahalne ko KHuda ne dard paida kar diya
Ghazal
Husn o ulfat mein KHuda ne rabt paida kar diya
Jaleel Manikpuri