husn ne man liya qabil-e-tazir mujhe
nazar aai hai mohabbat ki ye taqsir mujhe
kyun na ho baada-e-sar-josh ki tauqir mujhe
mil gai pir-e-KHarabaat se tahrir mujhe
jalwa-e-husn ke mafhum pe jab ghaur kiya
ek dhundli si nazar aai hai taswir mujhe
ab meri wahshat-e-ruswa ka ajab aalam hai
kar diya aap ne wabasta-e-zanjir mujhe
be-takalluf ruKH-e-zeba se uThae wo naqab
husn KHud paega ek paikar-e-taswir mujhe
zindagi ek nae aalam mein nazar aati hai
le chali aaj kahan gardish-e-taqdir mujhe
khich gai dil-kashi-e-husn mari nazron mein
ji bahalne ko mili aap ki taswir mujhe
zulf-e-shab-gun ruKH-e-anwar ki sataish ko siwa
koi mazmun na mila qabil-e-tahrir mujhe
husn-e-dilkash ke talawwun pe nazar jab pahunchi
na raha phir gila-e-gardish-e-taqdir mujhe
Ghazal
Husn ne man liya qabil-e-tazir mujhe
Dil Shahjahanpuri