husn mein aafat-e-jahan tu hai
chaal mein KHanjar-e-rawan tu hai
donon zalim hain farq itna hai
aasman pir hai jawan tu hai
be-kahe dil ka haal raushan hai
ai KHamoshi meri zaban tu hai
apne ghar mein KHayal mein dil mein
ek ho kar kahan kahan tu hai
donon jaanib se parda-dari hai
main hun gumnam be-nishan tu hai
sab se pyari hai jaan duniya mein
jaan se baDh ke jaan-e-jaan tu hai
aaine par nahin ye chashm-e-karam
apni surat ka qadar-dan tu hai
kya barabar ka joD hai ye 'jalil'
yar nazuk hai na-tawan tu hai
Ghazal
Husn mein aafat-e-jahan tu hai
Jaleel Manikpuri