husn majbur-e-jafa hai shayad
ye bhi ek tarz-e-ada hai shayad
ek ghamnak si aati hai sada
koi dil TuT raha hai shayad
KHud-faramosh hua jata hun
tu mujhe bhul gaya hai shayad
in hasin chand sitaron mein kahin
tera naqsh-e-kaf-e-pa hai shayad
ek duniya se hue begane
tujh se milne ka sila hai shayad
har ghaDi ashk-fishan hain aankhen
yahi anjam-e-wafa hai shayad
in labon par ye tabassum ki ziya
shoKHi-e-baKHt-e-rasa hai shayad

Ghazal
Husn majbur-e-jafa hai shayad
Sufi Tabassum