husn mail ba-sitam ho to ghazal hoti hai
ishq ba-dida-e-nam ho to ghazal hoti hai
phul barsaen ki wo hans ke giraen bijli
koi bhi KHas karam ho to ghazal hoti hai
kabhi duniya ho kabhi tum kabhi taqdir KHilaf
roz ek taza sitam ho to ghazal hoti hai
daman-e-zabt chhuTe chur ho ya shisha-e-dil
hadsa koi aham ho to ghazal hoti hai
shikan-e-gesu-e-dauran hi pe mauquf nahin
un ki zulfon mein bhi KHam ho to ghazal hoti hai
chaaragar lakh karen koshish-e-darman lekin
dard is par bhi na kam ho to ghazal hoti hai
raaz-e-taKHliq-e-ghazal hum ko hai malum 'nasim'
jam ho mai ho sanam ho to ghazal hoti hai
Ghazal
Husn mail ba-sitam ho to ghazal hoti hai
Naseem Shahjahanpuri