husn kya jis ko kisi husn se KHatra na hua
kaun yusuf hadaf-e-kaid-e-zulaiKHa na hua
wo payambar bhi nahin hoga KHuda shayad ho
pak daman to raha shahr mein ruswa na hua
the naya chand to thin hum se umiden kya kya
qaus ke qaus rahe daera pura na hua
larzish-e-lab ko zaban koi kumak de na saki
puchhne par bhi to elan-e-tamanna na hua
hum gireban-e-shab-e-tar TaTola hi kiye
kaj tukmon se sile the so ujala na hua
kya na chaha ki bana le mah-e-kanan ko ghulam
ek buDhiya ne bhi afsos ki paisa na hua
na-shouri mein ajab zoam tha danai ka
jab zara aql mujhe aai to diwana hua
warison ko na raha yaad ki wirsa kya tha
aur kafan bhi shohda ka abhi maila na hua
har tamanna ne nikalte hi dagha di kaisi
kuchh wafadar wo arman tha jo pura na hua
pyar be-qaul-o-qasam donon taraf ab tak hai
aa paDi us ko haya hum se taqaza na hua
zinda gaDe hue bandon ke ye sunsan nagar
aaj hi koi zamane ka masiha na hua
ye bhi kahta ki KHuda hun to jabin jhuk jati
waisa insan koi aur to paida na hua
kunj tak aa ke mujhe suniye ki bulbul koi
aa ke mahfil mein kabhi zamzama-paira na hua

Ghazal
Husn kya jis ko kisi husn se KHatra na hua
Rasheed Kausar Farooqi