husn ko wusaten jo din ishq ko hausla diya
jo na mile na miT sake wo mujhe muddaa diya
hath mein le ke jam-e-mai aaj wo muskura diya
aql ko sard kar diya ruh ko jagmaga diya
dil pe liya hai dagh-e-ishq kho ke bahaar-e-zindagi
ek gul-e-tar ke waste main ne chaman luTa diya
lazzat-e-dard-e-KHastagi daulat-e-daman-tahi
toD ke sare hausle ab mujhe ye sila diya
kuchh to kaho ye kya hua tum bhi the sath sath kya
gham mein ye kyun surur tha dard ne kyun maza diya
ab na ye meri zat hai ab na ye kaenat hai
main ne nawa-e-ishq ko saz se yun mila diya
aks jamal-e-yar ka aaina-e-KHudi mein hai
ye gham-e-hijr kya diya mujh se mujhe chhupa diya
hashr mein aaftab-e-hashr aur wo shor-e-al-aman
'asghar'-e-but-parast ne zulf ka wasta diya
Ghazal
Husn ko wusaten jo din ishq ko hausla diya
Asghar Gondvi