husn ko us ke KHat ka dagh laga
par hamein to bahaar o bagh laga
ghar se jun mah-e-be-hijab nikal
ab to ai shama-ru charagh laga
baadshahon ki bazm-e-ishrat se
apna mat gosha-e-faragh laga
aatishin ashk ek dam jo thama
KHana-e-dida be-charagh laga
le KHabar ab tu saqi-e-sar-e-dast
KHushk hone mera dimagh laga
kis ko ye KHun-e-dil mili daulat
us ke honTon se ja ayagh laga
dil-e-gum-gashta ka mere 'hasrat'
lag sake to kahin suragh laga
Ghazal
Husn ko uske KHat ka dagh laga
Hasrat Azimabadi