husn ko shaklen dikhani aa gain
shoKHiyan le kar jawani aa gain
sar mein sauda dil mein dard aaankhon mein ashk
bastiyan hum ko basani aa gain
jo bigaD jata tha baaton par kabhi
ab use baaten banani aa gain
dil mein lakhon dagh raushan ho gae
ishq ko shamen jalani aa gain
barq-o-baran ke jilau mein badliyan
sath le kar aag pani aa gain
ai dil-e-rahat-talab hoshyar-bash
saaten ab imtihani aa gain
dil laga kar phans gae zahmat mein hum
thin balaen jitni aani aa gain
muskura dena qayamat ho gaya
bijliyan tum ko girani aa gain
Dar rahe the jin se arbab-e-jahan
wo balaen aasmani aa gain
'nuh' wo kahte hain phir tufan uThe
quwwaten ab aazmani aa gain

Ghazal
Husn ko shaklen dikhani aa gain
Nooh Narvi