husn ko dil mein chhupa kar dekho
dhyan ki shama jala kar dekho
kya KHabar koi dafina mil jae
koi diwar gira kar dekho
faKHta chup hai baDi der se kyun
sarw ki shaKH hila kar dekho
kyun chaman chhoD diya KHushbu ne
phul ke pas to ja kar dekho
nahr kyun so gai chalte chalte
koi patthar hi gira kar dekho
dil mein betab hain kya kya manzar
kabhi is shahr mein aa kar dekho
in andheron mein kiran hai koi
shab-e-zud aankh uTha kar dekho
Ghazal
Husn ko dil mein chhupa kar dekho
Nasir Kazmi