اردو हिंदी
Husn ki shama ka hun parwana | Shaahi Shayari
husn ki shama ka hun parwana

Ghazal

Husn ki shama ka hun parwana

Jauhar Zahiri

;

husn ki shama ka hun parwana
KHalq kahti hai mujh ko diwana

naqsh-e-pa par gae kiye sajde
kis qadar hosh mein tha diwana

hosh jate rahenge jaane do
tum sunoge hamara afsana

teri mahfil se uTh ke jate hain
ab basaenge koi virana

jis ne rakkha qadam mohabbat mein
aql se ho gaya wo begana

teri aankhon ke kaif se saqi
raqs mein hai tamam mai-KHana

baada-e-gham ne bhar diya 'jauhar'
zindagani ka meri paimana