اردو हिंदी
Husn ki riten ishq ki rasMein chhoTe bachche kya jaanen | Shaahi Shayari
husn ki riten ishq ki rasMein chhoTe bachche kya jaanen

Ghazal

Husn ki riten ishq ki rasMein chhoTe bachche kya jaanen

Ejaaz Ahamd Ejaaz

;

husn ki riten ishq ki rasmen chhoTe bachche kya jaanen
shoKH adaen mubham baaten chhoTe bachche kya jaanen

sair hue to hans lete hain bhuk lagi to rote hain
subh-e-bahaaran bhigi raaten chhoTe bachche kya jaanen

koh samundar sahra jangal KHub samajh lete hain lekin
kaisi zalim hain ye KHalaen chhoTe bachche kya jaanen

sachchai hai in ka mazhab apni KHata bhi kah lete hain
jhuT ghaban dhoke ki rahen chhoTe bachche kya jaanen

pariyon ke afsane sun kar shahzade ban baiTh gae
talKH haqaeq waqt ki shaklen chhoTe bachche kya jaanen

lori se 'ejaz' wo aksar apna ji bahlate hain
git ghazal qite aur nazmen chhoTe bachche kya jaanen