husn ki lai hui ek bhi aafat na gai
dil ki dhaDkan na gai dard ki shiddat na gai
saya tak bhag gaya dekh ke wahshat ghar ki
kya bala hai ki ilahi shab-e-furqat na gai
husn-e-dilkash ise kahte hain ki hum sari umr
un ko dekha kiye didar ki hasrat na gai
ab bhi is rahguzar mein hai jahan thi pahle
sach to ye hai na kahin aai qayamat na gai
main zamane mein hun aaina-e-taswir 'jalil'
ki tasawwur se kabhi yar ki surat na gai
Ghazal
Husn ki lai hui ek bhi aafat na gai
Jaleel Manikpuri