husn ki jins KHaridar liye phirti hai
sath bazar ka bazar liye phirti hai
dar-ba-dar hasrat-e-dildar liye phirti hai
sar-e-har-kucha-o-bazar liye phirti hai
adam-abaad mein aane ka sabab hai zahir
justuju-e-kamar-e-yar liye phirti hai
dil-e-sozan se nahin koi nishan-e-zulmat
mashal-e-ah-e-shab-e-tar liye phirti hai
aate hi fasl-e-KHizan bulbul-e-shaida bahki
har taraf gul ki jagah KHar liye phirti hai
dair o masjid mein tamann-e-ziyarat kis ki
tum ko ai kafir o din-dar liye phirti hai
dasht mein qais ko kya aae nazar jab laila
sath mein gard ki diwar liye phirti hai
daur-e-saghar mein nahin kaf sar-e-baada saqi
duKHt-e-raz shaiKH ki dastar liye phirti hai
KHun-e-farhad se bechain hai ruh-e-shirin
be-sutun se bhi giran-bar liye phirti hai
gul se kyun kah nahin deti hai payam-e-bulbul
apne sar baad-e-saba bar liye phirti hai
manta hi nahin laila ki kare kya laila
sath mein qais ko na-chaar liye phirti hai
sadma pahuncha kisi gul ko ki chaman mein bulbul
KHun mein Dubi hui minqar liye phirti hai
kushta-e-naz ki turbat na milegi bulbul
phul minqar mein be-kar liye phirti hai
tair-e-dil ko hawa-e-KHam-e-zulf-e-sayyaad
surat-e-murgh-e-giraftar liye phirti hai
jumbishe-e-pa se hai galiyon mein qayamat barpa
sath mahshar teri raftar liye phirti hai
kohkan KHud to subuk-dosh hua, par shirin
sar pe ilzam ka kohsar liye phirti hai
dasht-e-ghurbat mein nahin phirta hun KHud aawara
gardish-e-charKH-e-sitamgar liye phirti hai
sath duniya ka nahin talib-e-duniya dete
apne kutton ko ye murdar liye phirti hai
hasrat-e-did 'asar' hazrat-e-'atish' ki tarah
pesh-e-rauzan pas-e-diwar liye phirti hai
Ghazal
Husn ki jins KHaridar liye phirti hai
Imdad Imam Asar