husn ki har ada pe marta hun
zindagi teri qadr karta hun
kho na jaen maze huzuri ke
sans lete hue bhi Darta hun
ishq ki hai ye kaun si manzil
gah jita hun gah marta hun
kaun aarif hai azmat-e-gham ka
miT ke main aur bhi nikharta hun
ho ke pamal rah-e-ulfat mein
kya bigaDta hun kya sanwarta hun
bahr-e-gham mein ye fikr kis ko hai
gharq hota hun ya ubharta hun
ghair ko raaz-dar kya karta
main 'bashir' aap se bhi Darta hun

Ghazal
Husn ki har ada pe marta hun
Syed Bashir Husain Bashir