husn ki fitrat mein dil-azariyan
us pe zalim nit nai tayyariyan
sadgi mein aa gain dil-dariyan
phul uThin ek phul mein phul-wariyan
muttasil tifli se aaghaz-e-shabab
KHwab ke aaghosh mein bedariyan
chaarasazon ki wo qatil ghaflaten
dard-mandon ki wo ghairat-dariyan
bas hujum-e-shauq ab is bhiD mein
khoi jati hain meri KHud-dariyan
soch kar un ki gali mein jae kaun
be-irada hoti hain tayyariyan
un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
chhoDiye bhi ab gharib-azariyan
dard-e-dil aur jaan-lewa pursishen
ek bimari ki sau bimariyan
aur diwane ko diwana banao
allah allah itni KHatir-dariyan
khinch deti hain KHat-e-mauj-e-sharab
mad-bhari aankhon mein rangin dhaariyan
ishq aur ziden ye rasm o rah ki
hae duniya uf ri duniya-dariyan
bandh raha hai ai 'raza' raKHt-e-safar
ho rahi hain kuch ki tayyariyan
Ghazal
Husn ki fitrat mein dil-azariyan
Raza Lakhnavi