husn ki dil mein mere jalwagari rahti hai
band is shisha-e-nazuk mein pari rahti hai
dil wahan khulta hai jis ja ki rahe jam-e-sharab
dana wan ugta hai jis ja ki tari rahti hai
tifli-o-ahd-e-jawani ka na puchho ahwal
be-KHudi aage thi ab be-KHabari rahti hai
bagh-e-alam mein nahin dast-e-karam ko hai zawal
shaKH ye wo hai jo ta-hashr hari rahti hai
yaad mein jam-o-surahi ke tere ai saqi
dil bhara rahta hai aankhon mein tari rahti hai
mai-o-mashuq se daulat se bahaar-e-gul mein
chakkhiyan rahti hai hain yaron ki chari rahti hai
har ghaDi rahta hai KHayal-e-ruKH-e-mahbub ka dhyan
aaj-kal samne kotah-nazari rahti hai
bhiD si bhiD lagi rahti hai kuche mein tere
jins ulfat ki magar wahan pe khari rahti hai
naqd-e-dil lete ho har ek ka be-bos-o-kanar
aap ke dhyan mein kya muft-bari rahti hai
hath pakDa hai mera dast-e-junun ne jab se
har ghaDi madd-e-nazar jama-dari rahti hai
baal khole nahin phirta hai agar wo saffak
phir kaho kyun mujhe aashufta-sari rahti hai
rind wan baste hain jis ja ho KHum-o-KHum-KHana
sher wan rahte hain jis ja ki tari rahti hai

Ghazal
Husn ki dil mein mere jalwagari rahti hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi