husn ki bijliyan al-aman al-aman
ishq ki garmiyan jawedan jawedan
bagh mein gar nasheman jala kya hua
gham hai sahra hue gulistan gulistan
kuchh na mahmil-nashin ka pata mil saka
hum phire DhunDte karwan karwan
bagh-e-alam mein gar koi bijli giri
raushni ho gai aashiyan aashiyan
hai yaqinan koi baat aisi ki tum
ho tabassum ba-lab shadman shadman
ek din ghuncha-dil bhi khil jaega
aaegi fasl-e-gul gulsitan gulsitan
kya asar kuchh girani ka tum par nahin
shams' phirte ho kyun shadman shadman
Ghazal
Husn ki bijliyan al-aman al-aman
Shams Itawi