husn ke sehr o karamat se ji Darta hai 
ishq ki zinda riwayat se ji Darta hai 
main ne mana ki mujhe un se mohabbat na rahi 
ham-nashin phir bhi mulaqat se ji Darta hai 
sach to ye ki abhi dil ko sukun hai lekin 
apne aawara KHayalat se ji Darta hai 
itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar 
muskuraate hue lamhat se ji Darta hai 
jo bhi kahna hai kaho saf shikayat hi sahi 
in ishaaraat-o-kinayat se ji Darta hai 
hijr ka dard nai baat nahin hai lekin 
din wo guzra hai ki ab raat se ji Darta hai 
kaun bhula hai 'naim' un ki mohabbat ka fareb 
phir bhi in taza inayat se ji Darta hai
        Ghazal
Husn ke sehr o karamat se ji Darta hai
Hasan Nayeem

