husn jo rang KHizan mein hai wo pahchan gaya
fasl-e-gul ja mere dil se tera arman gaya
tu KHudawand-e-mohabbat hai main pahchan gaya
dil sa ziddi teri nazron ka kaha man gaya
aaina-KHana se hota hua hairan gaya
KHud-faramosh hua jo tumhein pahchan gaya
ab to mai-KHana-e-ulfat mein chala aaya hun
us se kya bahs raha ya mera iman gaya
apne dil se bhi chhupane ki thi koshish kya kya
wo mera haal-e-mohabbat jise tu jaan gaya
hai yahi hukm to tamil karenge sahab
na karenge tumhein hum yaad jo dil man gaya
chhin gaya kaif bahakte hue kam-zarfon mein
mai-kade se bhi gaya main to pareshan gaya
na mila chain kisi haal mein majburon ko
muskurae to har ek shaKHs bura man gaya
apni rau mein jo bahae liye jata tha hamein
wo zamana wo tamannaon ka tufan gaya
jhuk ke chumi jo zamin us ki gali ki hum ne
kufr chiKHa ki sambhaalo mera iman gaya
tiliyan KHun se tar dekhin qafas ki jo 'saba'
apni sukhi hui aankhon pe mera dhyan gaya
Ghazal
Husn jo rang KHizan mein hai wo pahchan gaya
Saba Akbarabadi