husn jitna hi sada hota hai
gesu-e-na-kushada hota hai
jab kabhi shaghl-e-baada hota hai
ek aalam ziyaada hota hai
jab wo aate hain zindagi ke qarib
dil bhi dur-uftada hota hai
kya KHabar ye fashurda-e-angur
kitna KHun ho ke baada hota hai
un ka jalwa na dur hai na qarib
nur hai kam ziyaada hota hai
husn hota hai sada-o-rangin
ishq rangin-o-sada hota hai
gungunata hun fursaton mein 'nushur'
sher tanhai-zada hota hai
Ghazal
Husn jitna hi sada hota hai
Nushur Wahidi