husn is shama-ru ka hai gul-rang
kyun na bulbul jale misal-e-patang
KHatt-e-shab-rang us pari-ru ka
dekh aaya hai aarsi par zang
us ke nazuk badan mein hue nihan
pahne gar wo sanam qaba-e-tang
dekh majnun ne bas kaha mujh kun
is qadar marte hain tiflan sang
saqiya jam mai sun kar sarshaar
mujh kun darkar nin hai nam-o-nang
ghair gardish ke pahunchta nahin rizq
shahid us par hai aasiya ka sang
yak qadam rah-e-dost hai 'daud'
lekin afsos pa-e-baKHt hai lang
Ghazal
Husn is shama-ru ka hai gul-rang
Daud Aurangabadi