اردو हिंदी
Husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai | Shaahi Shayari
husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai

Ghazal

Husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai

Anwarul Hasan Anwar

;

husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai
wo tabassum ki ada ho ki sitam-koshi ho

zindagi kaif-e-musalsal mein guzar jati hai
chashm-e-maKHmur ki masti ho ki mai-noshi ho

tere aane ki masarrat se sahar ho raushan
aur raaton ki tere gham mein siyah-poshi ho

jazbiyyat to ba-har-haal hua karti hai
husn ki bu-qalamuni ho ki KHush-poshi ho

koi aalam ho najat-e-gham-e-dauran ke liye
maut ho nind ho be-hoshi ho

shukr 'anwar' jafaon pe na kyunkar kijiye
kyunki shikwa ho to ehsan-framoshi ho