husn hai mohabbat hai mausam-e-bahaaran hai
kaenat raqsan hai zindagi ghazal-KHwan hai
ishraton ke mutalashi gham se kyun gurezan hai
tirgi ke parde mein raushni ka saman hai
git hain jawani hai abr hai bahaaren hain
muztarib idhar main hun tu udhar pareshan hai
dhup ho ki barish ho tu hai monis-o-hamdam
mujh pe ye tera ehsan ai gham-e-farawan hai
rind buKHl-e-saqi par kis qadar the kal barham
mai-kada hai aaj apna aur tang daman hai
uf do-rangi-e-duniya uf tazad ka aalam
kufr ke ujale hain tirgi-e-iman hai
be-naqab dekha tha KHwab mein unhen ek shab
aaj tak nigahon mein ai 'ziya' charaghan hai
Ghazal
Husn hai mohabbat hai mausam-e-bahaaran hai
Zia Fatehabadi